Chapter 5 – Dil vs Discipline

Rules aur emotions ek doosre ke opposite hote hain.

Ek taraf Reyansh Singhania, jiske liye rules sab kuch hai, jisme emotions ke liye koi jagah nahi.

Aur doosri taraf Vanika Kapoor, jo emotions se chalti hai, jo rules ko ek challenge ki tarah leti hai.

Jab takraar hoti hai, toh ya toh rules jeetenge, ya dil.

Aur abhi, yehi dekhna baaki tha.

 

Detention ka waqt ho chuka tha.

Library ka ek quiet corner, jahan sirf ek table thi, do kursiyan, aur beech me baithe the Vanika aur Reyansh.

Reyansh ka expression hamesha ki tarah serious tha, jaise yeh ek official punishment session ho.

Aur Vanika? Woh bina kisi tension ke table pe apna face rest karke Reyansh ko taad rahi thi.

"Sirf mujhe dekhti rahogi ya likhogi bhi?" Reyansh ne bina uski taraf dekhe kaha.

Vanika ne casually pencil ghumayi. "Main soch rahi hoon... tumhe gussa kab aata hai?"

Reyansh ne surprise se dekha. "Kya?"

"Matlab, tum hamesha calm rehte ho, sab kuch perfect follow karte ho, kabhi kuch galat nahi karte." Vanika ne uski aankhon me dekha. "Kabhi rules todne ka mann nahi karta?"

Reyansh ne ek second rukkar kaha, "Mann karta hai. Par mujhe pata hai ki consequences hote hain."

Vanika thoda jhukkar uske aur paas aayi. "Toh tumhe consequences se darr lagta hai?"

Reyansh ka face stiff ho gaya. "Mujhe darr nahi lagta. Mujhe sirf control pasand hai."

Vanika ab aur interested ho gayi. "Control kis cheez ka? Situation ka ya emotions ka?"

Reyansh uske intense nazar se thoda uncomfortable ho gaya. "Kahin se bhi ho, control zaroori hota hai."

Vanika muskurayi. "Matlab tum emotions ko bhi control karte ho?"

Reyansh thoda irritated ho gaya. "Tumhara detention ho raha hai, therapy session nahi."

Vanika hasi. "Main toh bas jaanne ki koshish kar rahi hoon ki tum insaan ho ya robot."

Reyansh ne aankhein upar uthayi. "Aur tum?"

Vanika ne aankhein jhapkayi. "Main toh paidaishi problem hoon."

Reyansh ne pehli baar ek chhoti si smirk diya.

Par woh smirk turant gaya bhi.

Kyuki emotions par control zaroori hai.

 

Detention ke baad jab dono library se nikle, toh corridor khali ho chuka tha.

Vanika neeche books ka pile utha rahi thi jab achanak ek book uske haath se gir gayi.

Aur jab usne uthane ke liye haath badhaya, Reyansh ka haath bhi ussi page par tha.

Dono ke fingers ek doosre se lightly touch hue.

Ek second ka silence, jo dono ne mehsoos kiya.

Vanika ne upar dekha, Reyansh ki dark brown aankhein usse dekh rahi thi.

Koi nahi bole.

Koi nahi hila.

Bas wo ek touch tha, jo keh raha tha ki shabdon ki zaroorat nahi hai.

Aur usse pehle ki kuch aur hota, Reyansh ne jaldi se apna haath peeche kiya aur seedha khada ho gaya.

"Chalo, late ho raha hai." Usne bina uski taraf dekhe kaha.

Par Vanika ko samajh aa gaya tha.

Ye ladka emotions se bhaagta hai.

Aur usko yahi majboor karna tha – emotions mehsoos karne ke liye.

 

School ke baad jab dono bahar nikal rahe the, toh Vanika ne casually kaha, “Chai peena pasand hai?”

Reyansh ne confused expression diya. “Kyun?”

Vanika ne haath se ek chai ki dukaan ki taraf point kiya. “Wahan chalte hain.”

Reyansh ne turant mana kar diya. “Main nahi ja sakta.”

Vanika ne casually bola, “Koi rule hai jo mana karta hai?”

Reyansh chup raha.

Sach yeh tha ki rule nahi, balki aadat mana karti thi.

Reyansh aise bina plan ke kahin nahi jaata tha. Uski har cheez planned hoti thi.

Par Vanika?

Woh bina soche kar leti thi.

Reyansh ne finally bola, “Main tumhari tarah nahi hoon, Vanika.”

Vanika ne uski taraf dekha. “Toh? Tumhari tarah hone ka koi contract sign kiya hai?”

Reyansh thoda irritable ho gaya. "Tum seriously har baat ko ek challenge ki tarah leti ho na?"

Vanika ne mazaak me kaha, “Haan! Aur ab mera challenge hai tumhe thoda fun sikhana.”

Reyansh ne exhale kiya. "Mujhe fun nahi chahiye. Mujhe sirf focus chahiye."

Vanika ne uski taraf directly dekha. "Tumhe focus chahiye ya escape?"

Reyansh ka chehra stiff ho gaya. Kyuki yeh sawal deep tha.

Kyuki Vanika sahi keh rahi thi.

Woh sirf focused nahi tha, woh apne emotions se bhaag raha tha.

 

 

Episodes

Download

Like this story? Download the app to keep your reading history.
Download

Bonus

New users downloading the APP can read 10 episodes for free

Receive
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download MangaToon APP on App Store and Google Play