Episode 5

(JAISA KI AAPNE PADHA KI KAISE BABA VISHAKHT KO SHRAAP MILA,AUR KAISE BHAGWAN NE UNHE MUKTI KA RASTA BATAYA.US DIN KE BAAD SE BABA VISHAKHT HAR ROZ NISWARTH BHAAV SE LOGON KI MADAD KARNE LAGE.JAB KISI DIN KISI KARANWASH MADAD NAHI KAR PAATE US DIN NA WO KUCH KHA PAATE AUR DARD SE UNKA SHARIR TADAPNE LAGTA.PAR IS DARD KO BHI UNHONE SAHARSH APNAYA.UNHE YE DARD APNE PAAPON KA EK CHOTA SA PASHTACHAAP LAGTA.DEKHTE DELHTE JAANE KITNE YUG BEET GAYE AUR KAL YUG AA GAYA.BABA AB BHI WAISE HI CHOTE CHOTE GAON GHUM SABHI ROGIYON KI MADAD KARTE.AISE HI SAALON BEETETE GAYE AUR WO YAHIN DHENKANAL(apne hero ka birth place) SE KUCH DOOR KUTIYA BANAKAR RAHANE LAGE.ROGIYON KI MADAD KARTE AVUM JYOTISH VIDYA KI MADAD SE LOGON KO MUSIBATON SE AGAAH BHI KARTE.AISE HI UNKE NAAM KI KHYATI FAILNE LAGI.UNKE MAARGDARSHAN SE LAABH MILNE WAALON ME EK NAAM KAMLA KA BHI THA.ISILIYE USNE APNE CHOTEMALIK KE NAAMKARAN KE LIYE BABA VISHAKHT KO BULANE KA AAGRAH KIYA THA.AB WAPAS PRESENT ME CHALTE HAIN...)

Baba vishakht aankh band kar dhyan mudra me khade the.dekhne waalon ko samajh nahi aa raha tha ki ye kya ho raha hai.par kisime himmat nahi thi ki kuch bhi baba se puche.idhar baba bhi dhyaan avastha mere bhagwan ke saamne haat jod kar khade the.us din ke baad bhagwan ne kabhi baba vishakht ko darshan nahi diya tha.aur aaj achanak hi prabhu ko saamne dekh baba vishakht apne bhavnaon ko sambhal nahi paa rahe the.unke aankhon se ashruon ki dhaar si nikal rahi thi.bhagwan bhi chupchap khade muskura rahe the.kuch shan ki khamoshi ke baad bhagwan bole....

BHAGWAN-putra rona band karo.haan,ye sach hai ki tumhare dukhon me ab purn viram lagne waala hai.

Baba vishakht ye sun kar khush ho gaye

BABA VISHAKHT-iska matlab prabhu,ab mujhe moksh mil jaayega.mai aapke paas aa sakunga!!!

BHAGWAN-nahi putra,isme abhi samay hai.abhi tumhara jeevan chakra khatm nahi hua hai.bohot se kaam karne hai tumhe.jo paap tumse hua hai usse sudhaarne ka waqt aane wala hai.

BABA VISHAKHT-prabhu,mai samjha nahi.

BHAGWAN-putra,usse pehle mai tumhe kuch dikhana chahta hun.

Fir achanak baba vishakht ke aankhon ke saamne ek roshni hui aur jab hati toh ek chalchitra(drishya) saamne aaya.usse dekhte hi baba vishakht chownk gaye kyunki us drishya me aur koi nahi rishi vishisht the aur samay bhi tab ka tha jab rishi vishisht ne baba vishakht ko shraap diya ha.rishi vishisht thake se ek jungle me bhatak rahe the.vapas apne nagar jaane ka unhe bilkul man na tha.bhatakte bhatakte wo ek ped ke niche baith gaye.unhe waqt ka kuch bhi hosh na tha.din mahino me badal gaye,par wo aise hi baithe shunye ko ghurte rahe.unke aas paas gandagi jam gayi.pairon ke paas miti ke upoley(parat) jam gayi thi par unhe kisi ki sudh nahi thi.itni sidhi praapt karne ke baawjud unhe sab khatm hota dikh raha tha.ye drishya aur lamba chalta ki achanak rishi vishisht ke saamne ek roshni prakat hui.roshni itni tez thi ki rishi vishisht ko aankh band karni padi.aur jab roshni kam hui toh unke saamne swayam param pita parmeshwar khade the.rishi vishisht turant unke pairon me gir gaye aur rone lage.

RISHI VISHISHT-Prabhu mujhse kya galti hui jo mujhe ye saza mili.meri putri ko is sansar ne mujhse chin liya aur aap ne kuch na kiya.kya mujhse kuch paap hua tha bhagwan.bataiye prabhu bataiye.

BHAGWAN-uthiye rishi vishisht.aap toh itne kamzor naa the.aapko pata hai ki niyati se koi nahi bach sakta.apki putri ka jeevan chakra yahin tak tha.

RISHI VISHISHT-Prabhu mujhe bhi ab nahi jeena. Mai bhi apni putri ke paas jana chahtu hun.

BHAGWAN-putra shant ho jao.abhi tumhara karya purn nahi hua.aur apni putri ka shok na manao.mai tumhe yahi batane aaya hun ki tumhari putri ka kalyug me punar janm hoga.usse wo saari khushiyan milegi jo tum usse is janam me dena chahte the.aur ek baat,tumhari putri ka vivah mere hi ansh se hoga.wo uski shakti banegi.

Rishi vishista apni putri ke punar janm ki baat sun shant ho gaye aur jab unhone suna ji unki putri ka vivah swayam bhagwan ke ansh se hoga toh wo ati prassann ho gaye.

RISHI VISHISHT-Dhanyavad prabhu aapka koti koti dhanyavad.aapne meri putri ko is layak samjha.

ab mere liye kya aangya hai prabhu?

BHAGWAN-PUTRA,abtum issi jungle ke dakhshin bhag ke madhya me jo gufa hai wahan jao aur dhyan me baitho.kalyug me mera ansh aayega aur tumhe dhyan se mukt karega.tumhe tab pata chal jayega ki tumhe kya karna hai.

RISHI VISHISHT-Prabhu kya mai apni putri ko tab tak nahi mil paunga?

BHAGWAG-mil paoge par sirf swapno me. Jo gyan usse is janm me prapt hua tha wahi gyan us janam me bhi milega.tum uski madad karoge.

RISHI VISHISHT-jo aagnya prabhu...

Issi ke saath bhagwan antardhyan ho gaye aur rishi vishisht us gufa me jaa dhyan me baith gaye.gufa ke bahar achanak ek bada sa pathar prakat hua aur gufa band ho gayi.

Issi ke saath drishya band ho gaya.rishi vishisht ki aisi halat dekh baba vishakht ko punah dukh hua.

BHAGWAN-putra,jo hua usse badla toh nahi jaa sakta,par haan,sudhara avashya jaa sakta hai.

BABA VISHAKHT-KRIPYA AAP MERA MARGDARSHAN KAREN PRABHU.

BHAGWAN-ISILIYE HUMNE TUMHE YAHAN BULAYA HAI.

TUM ABHI JIS BACHE KA NAAM KARAN KARNE AAYE HO WO HI MERA ANSH HAI.IS DHARTI PAR EK BOHOT HI BADA SANKAT AANE WALA HAI.MERA ANSH IS DHARTI KA UDHHARKARTA HOGA.AAGE CHALKAR TUMHE ISKA UCHIT MARGDARSHAN KARNA HAI.JO GALTIYAN TUMSE HUI,TAKAT KE GHAMAND ME JO KADAM TUMNE UTHAYE,USSE TUMHE ISSE DUR RAKHNA HAI.IS BALAK ME ASIM SHAKTIYAN HONGI PAR SAHI SAMAY AANE TAK UNKA BAHAR AANA THIK NAHI HOGA.SHAITAN KO IS SHAKTI KA AABHAS HO CHUKA HAI.USNE ISSE DHUNDNE KA AADESH "GHETTO SOFAR"(YE SHAITAN KA KHASS DEVIL HAI.ISME KISIKO CHU KE HI USKI SHAKTI CHUSNE KI POWER HAI.ISKE ALAWA YE FIRE KO AARAM SE CONTROL BHI KAR SAKTA HAI.GARMI KA ISPE KOI ASAR NAHI HOTA.YE KISIKO BHI MEHSUS KAR DHOOND LETA HAI.AAGE JAAKE KAHANI ME ISKI LADAI HAI HAMARE HERO KE SAATH)ko diya hai.mai tumhe ek mantra deta hun

"AGRASAM GUPTAM SHAKTI NIROTAPAM "...

Is mantra se us baalak ki shakti ka shrot usse bahar nikal tumhare paas aa jayega.aur koi bhi is balak ko dhund nahi payega.par jo shakti bahar aayegi usse tum bardasht nahi kar sakte isiliye ye MANI rakho.MANI ko bahar nikalte hi samay chakra rook jayega.mantra padhne se pehle is MANI ko uske mastishk ke upar rakh dena.uski shakti nikal kar is mani me sama jayegi.mani pe haath rakh tum fir ye mantra kehna

"SHAKTI KUNJAM SWAYAM PRAJOTANAM"

Mani apne aap ek surakshit sthaan pahunch jaayegi.

BABA VISHAKHT-jo aagyan prabhu.

BHAGWAN-tumhare jaane ka waqt ho gaya.

Issi ke saath phir ek roshni hui aur baba vishakht ka dhyan toot gaya.unhone turant aankhen kholi.unhone dekha sabhi unhe ajeeb tarike se dekh rahe hain.kamla bhi chakit si unhe dekh rahi thi.baba kuch naa bole aur aage badh gaye.

Kamla aage aage chal rahi thi.gate par hi jairaj aur minu khade the.bhale hi dono chamatkar wagairaah me nahi maante the par atithi satkar unke vyavahar me tha.baba ka unhone uchit swagat kiya.dono ne baba ke pair chue.baba ne minu ko sada soubhagyavati bhav ka ashirwaad diya aur jairaj ko aaushmaan bhava ka.dono ne baba ko andar aane ka aagrah kiya.baba fir muskurate bhagwan ka naap japte andar aa gaye.wo ati adhir the us navjaat shishu ko dekhne ke liye par mukh unka samanya hi raha.sab andar aa gaye.bacha hall me hi ek bade se palne me leta haath pair chala raha tha.baba sidhe ussi paalne ke paas gaye.bache ko dekhte hi baba kho se gaye.ek tej, ek akarshan tha bacche k mukh pe,shaktiyon ka samandar bache ke andar se nikalta hua abhas hua baba ko.ye abhas aam insan mehsoos nahi kar sakta tha.par baba pehchaan gaye.wo samajh gaye shaitan ko bhi yahi aabhas hua hoga isiliye wo satark ho gaya hai.

BABA VISHAKHT-kya mai isse godh me utha sakta hun.

JAIRAJ-ji baba.bilkul utha sakte hain.

Baba ne haath aage kar bacha godh me liya aur uske baayen pair jisme 6 ungliyan thi usse apne maathe se laga diya.sab ye dekh chownk gaye.pair ke maathe se chhute hi shraap toot gaya.baba ko unka gyan unki shakti wapas mil gayi.ye sab 1 second me hi ho gaya.baba ne fir pair hataya aur jairaj se mukhatib hue.aapne mujhe iske naam karan ke liye bulaya hai.baba ke awaaz ki daivikta punah lout aayi thi.jairaj toh baba ke awaaz me hi kho gaye.yahi hall minu aur kamla ka bhi tha.fir baba ke dobara puchne par sab hosh me aaye.

JAIRAJ-ji babaji.isiliye hi bulaya hai.

BABA VISHAKHT-par aapko toh jyotish vidhya me vishwas nahi naa hi apki patni ko.fir kyun?

Jairaj ye sun chownk gaye aur kamla ki taraf dekhne lage.unhe laga shayad kamla ne hi baba ko bataya hai.

BABA VISHAKHT-kamla ne mujhe kuch nahi bataya hai.

JAIRAJ-Fir baba aapko kaise pata?

BABA VISHAKHT-shayad hi aisa kuch ho jairaj jisse mai anjan hun.mujhe ye bhi pata hai ki tum anath ho.tumhari biwi ka maika dhawalgarh(imaginary) se hai aur uske gharwaale ab tum dono se koi rishta nahi rakhte.minu aur jairaj dono baba ke baaton se chownk gaye.

BABA VISHAKHT-ye mat puchna ki mujhe ye sab kaise pata.samay aane par batadunga par pehle jis karya se aaya hun wo karlun!kya koi baithne ki jagah hai.

MINU-arre haan,mai bhi naa, abhi tak aap khade hi hain.aaiye humne hall ke dusre taraf baithne ka sab intazam kiya hai.

Fir sab us or hi chal diye.baithne ke baad baba ne ek baar sabki aur dekha.baba ki shaktiyan ab lout aayin thi.unhe sab nazar aa raha tha.unhe pata chal gaya ki minu aur jairaj dono hi is anokhe baalak ke palanposhan aur uchit sanskar dene k liye ekdum sahi hain.baba ne bache ko ek baar fir godh me liya aur fir bolna shuru kiya.

BABA VISHAKHT-is bache ki lalaat ki rekhayen bata rahi h ki ye bacha ati parakrami,mehnati,avum bohot buddhiman hoga.apne umar ke bacho se ye zyada paripakv hoga.aisa nahi hai ki ye haarega nahi yaa hamesha awall hi aayega.par har haar se ye aur sashakth hoga.isilye iska naam hoga VIKRAM.

Apne bache ka naam aur goon sun kar minu aur jairaj khush ho gaye.

BABA VISHAKHT-is balak ki wajah se aapki taqdir me bhi badlaaw aayega.apka har sapna sakaar hoga.isse apko kabhi hausla dene ki awashyakta nahi hogi.ye khud se hi khud ko thik kar lega.ye bas aap dono ke saamne hi chanchal hoga baki duniye ke liye bohot shant hoga.waise toh isse krodh asani se nahi aayega par jab aayega toh koi isse rok nahi paayega.par chinta mat karna ye ache ke saath bura kabhi nahi karega.iske krodh ka fal bhi acha hi hoga.iske baayen paon me 6 ungliyan hain.isse kabhi alag mat karaiyega.iske aatmvishwas ka shrot hongen ye.ek din iska naam sara jag me jana jayega.itna bol baba vishakht shaant ho gaye

JAIRAJ-baba aur kuch bataiye naa mere bache ke baare me.ab kis baap ko apne bache ki taarif nahi sunani.jairaj bhi koi alag toh the nahi.baba vishakht bhi jairaj ke is bhavana se anbhigya na the.wo bas muskura diye.kehte bhi toh kya,ki unka putra swayam param pita parmeshwar ka ansh hai.uske andar divya shakti hai.uska janm kisi khaas maksad se hua hai....!!!!!!

BABA VISHAKHT-abhi mai kewal itna hi bata sakta hun.par meri mulakat aapse phir hogi.jab bhi kabhi apke upar koi taklif aayegi mai zaroor aaunga.

MINU-taklif? 

 ?baba kaisi taklif???

BABA VISHAKHT-ghabrao mat putri.sab mangal hi ho hoga.

Ye keh baba ne apna haath apne jhole me dala.aur haath jab bahar aya toh samay rook gaya.baba ke haath me mani thi.baba ne wo mani vikram ke mashtishk ke upar rakh di aur ankh band mantr ucharan karne lage.

"AGRASAM GUPTAM SHAKTI NIROTAPAM"

dheere dheere vikram ki body roshni se bharne lagi.roshni itni badh gayi ki baba vishakht ki aankhen band hone par bhi ankhon me chubhne lagi.fir dheere dheere roshni kam hui fir bhi prakash kaafi zyada tha.baba ne dheere se aankh khola toh dekha mani lal rang se chamak rahi thi.baba ne maani uthane ki kosish ki par utha na sake.mani ke upar haath rakh wo fir mantra doharane lage.

"SHAKTI KUNJAM SWAYAM PRAJOTANAM"....mani gayab ho gayi aur kahan pahunchi!!!! Ye baad me pata chalega.

Mani ke gayab hote hi samay chakr fir se shuru ho gaya.

BABA VISHAKHT-chaliye ab mujhe aangya dijiye.mai chalta hun

JAIRAJ-BABA apki dakhshina!!!

BABA VISHAKHT-mai iske liye yahan nahi aaya.mujhe kuch nahi chahiye.waise bhi hamari fir mulakat avashya hogi.

MINU-baba kuch toh lijiye.aise khali haath na jaiye.

BABA VISHAKHT-mujhe jo chahiye tha mil chuka hai.par ek baat kehna chahunga.har baba dhongi nahi hota.

Baba ki baat sun jairaj aur minu chownk gaye.chownk toh wo pehle hi gaye the jab baba ne kaha ki mujhe jo chahiye tha wo mil chuka hai!!!unka sir sharm se neeche ho gaya.

Baba muskurakar bole

BABA VISHAKHT-Arre arre isme sharm aane ki koi baat nahi.ye kalyug hai.yahan sahi se zyada dhongi baba hi ghumte hain.aisa sochna kuch galat nahi hai.bas itna dhyan dijiye ki apni baat kisi pe kehne se pehle ek baar pushthi kar lijiye.acha ab chalta hu.FIR MILENGE.

ye keh baba jaise aaye the waise chale gaye.

Minu aur jairaj aankon me tbodi sharmindagi thodi khushi thode sawal liye khade reh gaye....

DUSRI AUR.......EARTH SE CARODON MILES DOOR EK ANDHERE GRAH "MONSLICKEL".(YAHAN SURYA KI ROSHNI NAHI AATI THI).ME EK 100 FEET LAMBA SHAITAN BAITHA HUA THA.SAR SE PAON TAK KAALE KAPDE PAR BADAN GORA.AANKH BHATTI SI TAPTI LAAL.CHEHRE PAR EK AJEEB SI KHAMOSHI.USKA NAAM ........

ASMODEUS

DEVIL'S KING

CREATURE OF JUDGEMENT......

Download

Like this story? Download the app to keep your reading history.
Download

Bonus

New users downloading the APP can read 10 episodes for free

Receive
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download MangaToon APP on App Store and Google Play