Maana Dil Dara Dara Hai,
Toota Ye Zara Zara Hai,
Dil Ke Iss Bawandar Ko Thehar Jane Do,
Hoth Ye Zara sile Hai Hai khaamoshi ke silsile Hai,
Raat thodi gehari Hai sehar aane do,
To Kya Hua jo toota aaj Sapna tera,
To Kya hua Jo aaj koi itna na Mila,
Kabhi toh Poora hoga,Ye chahaton ka Ghar.
Kabhi toh mil hi jayega tujhko humsafar.
Tumjhme na kami koi,
Bas tera din ye bura Hai.
Wakt Ki ye baatein hai, ise guzar Jane do.
Toh Kya hua badla Hai wo, Jo kehta tha yahi,
Badal bhi jaaye duniya main rahuga vahi.
Magar jahaan zarurat thi woh raha Nahi,
Sath ka toh chhodo, khayal tak Nahi.
Jaane do Jo ja Chuka Hai,
Kaun kab Kaha ruka Hai.
Baat ye fizool Hai, inhe bhool Jane do.
Andhero mein hi rehne ke faisle kiye Hai toh,
Roshani Mein aake yeh man Kahaa Lage.
Hai itni bar toota yakeen apno se,
Toh aitbaar kispar ye Nazar phir kare.
Tu muskurana chahe to darne Lagata Hai,
Kahin Teri hi Nazar Teri Khushi ko na Lage.
Kisi par aana chahe toh bhi aaye kese,
Phir tootne ke khayal se Dil dare...