NovelToon NovelToon

Attitude

Episode 1

ATTITUDE".is shabd ka aksar log galat matlab nikalte hain, GHAMAND!!!!Toh fir EGO kya hai???

ATTITUDE ka matlab NAZARIYA hota hai.DHRISHTIKON hota hai.EGO toh lagbagh har kisi me paaya jaata hai.par ATTITUDE,Ye rakhna

Har kisi ki aukat nahi.

TOH CHALIYE SHURU KARTE HAIN YE SAFAR,JISME IS KA MUKHYA KIRDAR V.J APKO IS ATTITUDE Se RUBAROO KARWAYEGA....

DHENKANAL..orrisa ka ek chota sa town.par jabki ye baat hai tab ye bas chota tha koi town nahi.san 1998,may 24 raat ke 11 baje,ek sarkari hospital me ek ladki operation table ke bed par padi thi.uski delivery ka waqt ho gaya tha.ladki isilye kyunki wo mahaz 19 saal ki thi.uske aas paas uska apna koi naa tha.aisa nahi ki wo is duniya me akeli thi,uska pati tha,mata pita the bhai the behen thi.par uske maike waalon ne usse naata tod diya tha.aur pati ek civil engineer the aur is waqt site pe gaya the.us ladki ko asahaniya dard ho raha tha.ussi waqt uske pati hospital pahunche.apni biwi ki dardbhari awaaz unke kaan ke pardon ko jhanjhor rahi thi.doctor

Ne unhe andar bulaya aur kaha ki case critical hai.wo maa aur bache me kisi ek ko hi bacha sakte hain.ladki ke husband ko jaise sadma sa ho gaya.par kuch waqt baad khudko majboot kar unhone kaha ki unhe unki patni sahi salamat chahiye.bacha toh phir ho jayega.toh doctor ne kaha ki agar bacche ko giraya gaya toh unki patni fir kabhi maa nahi ban paayegi itne dard me bhi us ladki ne jab ye baat suni toh uska kaleja kaamp gaya.usne doctor se kaha,sir aap bache ko hi bachaiye,bas koshish kijiyega ki mai kamsekam apne bache ko ek baar dekh sakun itni saansen mujhe dilwadijiyega.uska pati iske liye bilkul raazi nahi tha par us ladki ne usse apni kasam dekar apni baat manwa li.bhare dil se apne aaunsuon ko samete wo bahar chala gaya.

Dono ye baat nahi jaante the ki unhe baadalon ke upar se muskurate hue BHAGWAN dekh rahe the.

Unki patni ne jab unse iska kaaran pucha toh unki muskurahat aur gehri ho gayi.unhone kaha,ye balika nahi jaanti ki iske kokh me jo ansh hai wo divya hai.isse dharti par laane ke liye isne apne jeevan ka tyag karne tak ka kathin faisla kar liya hai.GODS WIFE-toh kya wo mar jayegi!!!uski umar hi kya hai.maa banana har aurat ke liya ek garv ki baat hai.aap keh rahe hain ki uske garv me divyaansh hai.toh kya wo ye gourav mehsoos nahi kar paayegi.GOD-Maine aisa toh nahi kaha.mai toh bas dekhna chahta tha ki kya ye is ansh is divya shakti ko janm dene layak hai.mujhe iska jawab mil gaya.GODS WIFE-AISA KYUN?GOD-kyunki iske baalak me mere shaktiyon ka ansh hoga.par mere shaktiyon ka kuch ansh SHAITAN me bhi hai.par usne uska sahi upyog nahi kiya.upar se abhi kalyug hai.

Har taraf paap hi paap hai.aise me iski taakat ka sahi maargdarshan zaroori hai.aur MAA se bada guru koi nahi.is ladki ka man komal aur saccha hai aur irade dhridh.mere ansh ka palan poshan uska uchit margdarshan ye zaroor puri nishtha se karegi.kuch samajh aaya.GODS WIFE-kuch kuch.aapki leela aap hi jaane.BHAGWAN ki muskuraat aur gehri ho gayi.

IDHAR NEECHE

doctors puri koshish kar rahe the ki operation successful ho aur baacha aur maa dono bach jaayen?par wo jaante the ki ye mumkin nahi...

Bahar ladki ka pati ganpati bappa ke murti ke aage aansun bahaye apne patni aur bacche ki zindagi ki bheek maang raha tha.ab sarkari hospital wo bhi ek choti se jagah me, aise me koi private ward sound proof glasses toh honge nahi.us ladki ki dard se bhari cheekhen har taraf gunj rahi thi.fir wo samay bhi aaya jab us bache ka is sansar me aana ka waqt ho gaya.achanak mausam badalne laga.may ka mahina waise toh garmi ka hota hai aur wo din bhi kuch alag na tha naa hi raat alag thi.par achanak bijliye kadakne lagi.hawa ne raftaar pakad li mano duniya ko hi uda dena chahti ho.mahol kafi rahasyamayi lagne laga.logon ko samajh nahi aaraha tha ki ye ho kya raha hai.andar doctors apne kaam me lage the.ladki ke sar ke paas ek nurse thi jo usse push push(dhakka) dene ko keh rahi thi.achanak ek zordar cheekh ke saath wo ladki behosh ho gayi.aur ussi waqt light bhi chali gayi.par usse pehle hi doctors ne bachhe ko khich liya.bache ka janm thik 12.01 minute me hua.jo ki ati shubh tha kyunki ye ek bramh muhurth tha.par ye kya bache ke bahar aate hi har taraf ek roshni faile gayi.aur bahar barish shuru ho gayi.jaise aasman bhi khushi mana raha ho.idhar andar kuch bhi dekha nahi jaa sakta tha.kuch pal ke baad roshni apne aap kam hone lagi aur phir khatm ho gayi aur tabhi light bhi aa gayi.kisi ko kuch samajh nahi aa raha tha ki ye hua kya akhir!!!doctors ki nazar jab bache pe gayi toh unhone dekha ki bacha unhe hi dekh raha hai.saari medical team jo us room me thi wo bhi bache ko dekhne doctor ke paas aa gaye par sabhi chownk gaye. Kyunki bache ki aankhen kafi badi aur gehri thi aur wo doctor ko apni gehri kaali nazaron se tuk tuk dekh raha tha.wo ro nahi raha tha.uske chehre pe ek ajeeb si shanti thi.sab us bache me kho se gaye.par bache ne pakle japkayin aur jaise sab achanak hosh me aa gaye.kisi ko kuch bhi jo bhi hua tha yaad na raha.roshni ka hona bache ka naa rona kuch nahi.par fir ek nurse ki nazar us ladki par gayi.uski halat bohot kharab lag rahi thi.doctor ne bhi gour kiya aur uske nabz ko apne haath me lekar check kiya.doctor samajh gaya ki ye ab bach nahi payegi.uski nabz bohot dheere chal rahi thi ya ye kahen ki naa ke barabar chal rahi thi.doctors ne ladki ke pati ko bulwaya.usse jab pata chala ki uski patni bas chand lamho ki mehman hai toh wo khud ko sambhal nahi paaya aur phoot phoot ke rone laga.usse samajh nahi aa raha tha ki wo kisko dosh de.apni biwi ko jiski zid ke aage wo haar gaya ya us bache ko jiski wajah se uski patni ab nahi bachegi.wo soch hi raha tha ki nurse uske bache ko lekar uske paas aayi.congratulations bolke bacha pakda kar chali gayi.bache pe nazar jaate hi uske saare sawal saare dosh gayab ho gaye.wo bhi bache ki sundarta uske aankhon ki gehrai me kho sa gaya.doctor ki awaz se usse hosh aaya.doctor ne kaha ki unki patni ki saansen kabhi bhi ruk sakti hain.wo chahti thi ki marne se pehle ek baar apne bache ko dekh le.toh aap bache ko unke paas chhod den.bhari kadmo se wo admi apne bache ko apni patni ke sirhane leta diya aur bahar aa bench par baith gaya.usse bardasht nahi ho raha tha.

Chaliye andar ka haal bhi jaan lete hain

Bache ki maa besudh awashta me leti hui thi.bacha baju me let haath paun chala raha tha.

Par achanak ek chamatkar hua.hua ye ki haath chalate chalate bache ka haath uski maa ke haath ya ye kahen nabz se takra gaya.aur haath ke lagte hi ladki ke sharir ko ek jhatka laga.uski nabz se hote hue wo jhatka uske sine tak gaya aur uski dhadkan tez ho gayi aur phir normal ho gayi.ladki ke chehre ka thakan door ho gaya aur aisa lagne laga jaise wo bas so rahi hai.kuch der baad nurse aayi toh usne bhi ye notice kiya.wo turant doctor ko bula layi.doctor aaye aur jab laki ka nabz check kiya toh shock ho gaye.phir bhi sansusti ke liye unhone uski aankhen check ki toh aur chownk gaye kyunki wo ladki sirf so rahi thi.unhe kuch samajh nahi aaya.wo bahar aaye aur us ladki ke husband ko dhundne lage.wo kuch dur hospital ke start ke ek bench pe baitha tha.doctor uske paas gaye aur sab bata diya.usse bhi yakin nahi hua.par bhagte hue jab andar gaya aur apni patni ko dekha toh pehle toh shock ho gaye.fir khushi se chillaa uthe.MINUUUU...ji haan yahi hai us ladki ka naam.shock isiliye hue kyunki minu ko hosh aa chuka tha aur wo apne bache ko godh me khela rahi thi.wo daudke apni patni ke paas gaye aur ek side se minu ko gale laga liya.minu ke bhi khushi se aansu nikal gaye.wo janti thi ki uske faisle ne uske pati ko kitna dard diya hoga.kuch der aise hi rehne ke baad dono alag hue.ab dono hi behad khush de.akhir maa baap jo bane the.unka ghar bhi ab roshan ho chuka tha.

Episode 2

INTRO.....

HERO'S FATHER'S NAME-JAIRAJ SINGH.YOUNG,JUST 23 YEARS OLD(HERO KE BIRTH TIME KE HISAB SE)HEIGHT 5'11,SMART,FIT BODY BUT NO 6 PACKS(US WAQT SIX PACKS KA CRAZE NAHI THA)OCCUPATION-CIVIL ENGINEER BUT SAPNA HAI KHUD KA BUSINESS START KARNE KA.YE BACHPAN SE HI ANATH HAIN.ANATH ASHRAM ME REH KAR HI PADHAI KI.INHONE BOHOT STRUGGLE KIYA HAI LIFE ME.YE AAJ JAHAN BHI HAIN APNE DUM PE HAIN.INKA EK AUR SAPNA HAI KI JO ZINDAGI YE NAA JI PAAYE WO UNKA BETA JIYE.

HERO'S MOTHER'S NAME-MINAKSHI JAIRAJ SINGH.JUST SWEET 19.B.COM PREVIOUS PRIVATE ME KAR RAHIN HAIN.A PROUD WIFE AND NOW A LUCKY MOTHER TOO.COLUR COMPLEXION PINK WHITE.BEAUTIFUL FACE

BROWN EYES.DIL KI SOFT PAR UTNI HI CONFIDENT.INKI LOVE MARRIAGE HUI HAI.INKE PARIVAR WAALO KO MANZUR NAHI THA.AUR JAISA KI AKSAR HOTA HAI MOHOBBAT NE RISHTON KO MAAT DEDI.INHONE APNE MOHOBBAT KE SAATH BHAG KAR SHADI KARLI.JAB WAPAS GHAR GAYE TOH GAHR WALON NE CHEHRA DEKHANE TAK SE INKAR KAR DIYA.AB YE GHAR SE DOOR APNE NAYE AASHIYANE ME KHUSH HAIN.PAR GHAR KI YAAD TOH AATI HI HAI NAA..EK AAS EK DUA HAI INKI KHUDA SE KI INKE GHAR WAALE INHE WAPAS APNA LEN....

HERO OF THE STORY-VIKRAM JAIRAJ SINGH...

YANI KI MAI.URF V.J.

YE NAAM MERE DOSTON NE RAKHA HAI MERA AUR AB MERI PEHCHAAN BAN GAYI HAI.

MAI KAISA HUN KYA HUN KYUN HUN YE APKO AAGE CHALKAR PATA CHAL JAYEGA.

ARRE BHAI ABHI TOH PAIDA HI HUA HUN NAA....

(NOTE.DOSTON ABHI EK HI JAGAH KA NAAM LIYA HAI DHENKANAL.WO SACH ME EK JAGAH HAI.PAR AAGE JO BHI CITY TOWN YA GAON KA NAAM AAYEGA KALPANIK HOGA.MERE DIMAG KI UPAJ HOGI.TAAKI JO BHI ISSE PADHE APNE APNE SOCH KE HISAB SE RANG BHARE.

ISKA BHI EK ALAG HI MAZA HAI.TOH CHALIYE CHALTE HAIN WAPAS KAHANI ME)

Kyunki delivery normal hui thi 48 ghanton me hi discharge mil gaya.magar in 48 ghanton me kuch kuch ajeeb bhi hua tha.meenu kamzor thi isiliye usse baar baar neend aajati thi.par jab jab meenu soti thi uske sapne me angels aate the.aur uske new born baby ke palne ke paas baith kar gaane gaate the.usse dekh muskurate the.isse minu ki neend toot jaati thi.pehli baar toh usse ye mahaz sapna hi laga par jab yahi sapna baar baar aaya toh wo kuch pareshan ho gayi.akhir maa jo thi.usne ye baat apne pati jairaj ko batayi par unhone isse ittafaq,delivery ke baad thakan se dimag ka kamzor hona bol kar taal diya.par ek baat unhe bhi ajeeb lag rahi thi.baat ye thi ki unka beta in do dino me ek baar bhi roya nahi tha.bas shant rehta tha jaise kuch soch raha ho.bas jab uski maa ya wo khud usse godh me lete the tab halka sa muskura deta tha.do dino ke baad wo apni patni aur bache ke saath circuit house wapas aa gaye.

chaliye inke ghar ke baare me batata hun.ye ek circuit house me rehte the.ye ek company ka diya bada sa ghar tha jahan sirf us company ke civil engineer rehte the.ye ek kisam ka khoobsurat sa bangla tha.ye ek duplex tha.jisme kul teen bedrooms the jinme bathrooms attached the.do neeche aur ek upar.iske alawa ek store room kitchen aur ek bada sa hall tha.ghar ke bahar chota sa lawn,garden aur left side me servents quater tha.right side me ek garage tha.

Teeno subah hi ghar pohunch gaye the.jairaj kaam ke maamle me bohot imandar aur strict the par baki ke waqt wo ek behad milansaar vyati the.gahr ke noukaron ko bhi apna hi maante the.

Saare noukar apne chote maalik ko dekhne ke liye bohot utsuk the.aur jab bacha unke saamne aaya toh sab behad khush ho gaye.abhi tak ek baat kisi ne gaur nahi ki thi yahan tak ki minu aur jairaj ne bhi nahi.

kamla naam ki unki ek naukrani thi.35 ki thi.bechari us umar me hi vidhwa ho gayi thi.koi bacha bhi nahi tha. Kamla bohot zyada dharmik thi aur tona kala jadu chamatkar in sabme vishwas rakhti thi.kabhi kabhi minu bhi jab akeli hoti thi toh usse baat kar kiya karti thi.uski baatein kafi rochak hua karti thi.kamla minu ko apne apne alag alag anubhawon ke baare me batati thi jo minu bade maze se sunti thi.minu ko ishwar me aastha toh thi par jadu aur chamatkaron me usse vishwas na tha.wo bas timepass ke liye kamla ki baatein sun liya karti thi. jab kamla ne bache ko dekha toh usse laga jaise koi shakti hai jo usse apne taraf khich rahi hai.kamla bache ke thoda paas aa gayi aur dhyaan se dekhne lagi.usse bache ke mukh pe bohot tej nazar aaya.dekhte dekhte achanak uski nazar bache ke bayen pair ke anguthe pe padi toh wo chowk gayi.dhyan se dekhne par uska shak yakin me badal gaya.bache ke bayen pair me paanch ki jagah 6 ungliya thi.usme bhi akhir ki teen ungliyan ek saath judi thi.usse ye ajib laga.usne jab ye baat minu aur jairaj ko batayi toh unhone bhi dekha toh wo bhi shock hogaye ki abtak unhone khud ye kaise nahi dekha tha.

Kamla-malik,malkin ye ek bohot hi shub sanket hai

Minu-tu phir shuru hogayi kamala.

Kamla-arre malkin vishwas kare.acha ek baat batayen.chote malik ka janm kab aur kitne baje hua tha.

Minu-25 may yani parso,raat ke 12 bajke ek minute me.kyun?(jairaj ne minu ko bache ke paida hone ka waqt bata diya tha.)

Kamla phir chowk gayi.malkin mujhe pehle sirf shak tha par ab yakin ho gaya hai ki chote malik bohot tejasvi hain.kyunki parso raat baarah baj ke ek ka waqt bramha muhurt tha.aur ussi waqt chote maalik bhi paida hue.ho na ho ye koi bohot bada chamatkar hai.par minu aur jairaj isse matra ek sanjog maan rahe the.

Kamla-thik hai malkin.mai ek kaam karti hun.mere pehchaan me ek bohot hi gyani baba hain VISHAAKT RINI BABA mai kal unhe bula lati hun.apko bache ka naam karan toh karna hi hai naa.unse behtar is kaam ke liye koi na hoga.aur lage haat meri baat ki bhi pushti ho jayegi.

Minu-kyun jee aap kya kehte hain???

Jairaj-yaar mujhe insab baaton me vishwas toh nahi hai par haan naam karan toh karna hi hai.aur jinka ye naam le rahi hai unka naam bhi suna hai maine.mera supervisor bhi unka gun gaan karta rehta hai.chalo issi bahane unse bhi mil lenge.pata chal jayega ki baba sach me gyani hain ya koi dhongi...

Kamla-thik hai malik,toh mai kal subah hi unhe bula leti hun...

"KYA HOGA KAL?KYA BABAJI SACH ME GYANI HAIN YA KOI DHONGI!!!KYA YE BACHA SACH ME ANOKHA HAI!6 UNGLIYON KA KYA RAHASYA HAI.JAANENE KE LIYE SAATH BANE RAHIYE..."

Episode 3

Raat guzri aur surya uday ke saath ek naye subah ka agaman hua.waise toh filhal garmi ke din the par aaj ka mousam hi kuch alag tha.hawa me bilkul bhi garmahat nahi thi.sheetal hawa man aur tan dono ko bohat rahat pahuncha rahi thi.lag hi nahi raha tha ki garmi ka mousam chal raha hai.

Ab chalte hai apne hero ke ghar ki taraf...

Arre waah yahan toh tyohar sa aalam tha.pure ghar ko phoolon se sajaya gaya tha.ghar ke bahar alag alag rangoli bani hui thi maano dipawali ka tyohar ho.par aaj ka din toh minu aur jairaj ke liye kisi bhi tyohar se upar tha.aaj unke ghar ke chirag ka naam jo rakha jaane waala tha.subah ke 10.30 baj rahe the.minu apne kamre me aaine ke saamne khadi ho saari pehen rahi thi.ye ek hari kanjivaram ki saari thi jo minu ki khoobsurti me chaar chand laga rahi thi.jairaj bahar hall me the.decorations me nazar rakh rahe the.kaam saare lagbhag ho hi gaye the.jairaj ko bhi halki thakawat ho rahi thi.wo subah se hi ghar sajane me lage hue the.waise toh ek civil engineer ke ghar me noukaron ki bhid rehti hai par jairaj ek self made man the.jo struggle unhone apni life me kari thi usne unhe itne bade ohde me pahunchne ke baad bhi kafi down to earth rakha tha.unhe zyadar kaam khud hi karna pasand tha aur aaj toh unke nazar-e-noor unke bache ka naam karan tha.wo toh dogune josh se saare sajawat me haath bata rahe the.ek aur karan ye bhi tha ki unki wife abhi abhi delivery ke baad hospital se wapas aayi thi.unka jism filhal kamzor tha.jairaj unhe bilkul bhi mehnet nahi karne dena chahte the.pyar jo beshumar karte the apni patni se.khair,kaam saare lagbhag pure ho gaye the toh jairaj bhi taiyar hone apne room pahunch gaye.

Par room me ghuste hi jo nazara unke aankhon ke saamne aaya usse wo wahin thithak kar rook gaye.unki aankhen bhi palke jhapkana bhool gayi.minu apna shringar lagbhag pura kar hi chuki thi.bacha paida karne ke baad, thakan ke bawajood minu ka jo rang saamne nikhar kar aaya tha wo jairaj ko ghayal karne ke liye kaafi tha.aur abhi tak toh jairaj ne aaine me hi sirf minu ke aks ko hi dekha tha aur ye haal ho gaya abhi toh asli hamla baki tha.aur wo bhi ho hi gaya.final touchup ke baad minu jab palti toh saamne jairaj ko khade paya.minu ke palatethe hi uski khoobsurti jairaj ke saamne thi..jairaj ko aisa laga jaise koi apsara asman se utar uske saamne khadi hai.khudko aisa ghoorte dekh minu ko kuch samajh nahi aaya.usne aankon se ishara kiya ki kya hua?par jawab kuch alag hi andaz me mila minu ko.jairaj ne yunhi bekhudi me kaha ki

"Teri umr toh wahi rook gayi,hum bade ho gaye,

Ye yoh NAINSAAFI hai.

Hume maarne ke liye kisi haithiyar ki zaroorat nahi,

Tera ye roop hi KAAFI hai...."

Apne liye taarif sun minu ke gore gaal laal ho gaye.shadi ko unke 1 saal hochuka tha par jaante wo ek dusre ko 4 saalon se the.jairaj ka pyar uski deewangi itne saalon me zara bhi kam nahi hui thi.the toh wo husband wife but rehte lovers ki tarah hi the.

Minu-dhat.aap kahin bhi shuru ho jaate ho.abtoh sharm karo,ek bache ke baap ban gaye ho.minu ki baat par jairaj zor se has pade.phir bole

Jairaj-darling,agar sharm karte toh baap kaise bante.bhai hum toh apke ashiq hain,apki taarif karna hamra haq hai.

Minu-bade aaye taarif karne waale,chaliye jaiye,babaji ke aane ka waqt ho gaya hai.unhe intazar karana thik nahi.

Jairaj ne bhi ye thik samjha,aur turant bathroom me ghus gaye.minu apne bache ke paas jakar baith gayi.ab tak.usne bhi gour kiya ki naa toh uska bacha ek baar bhi roya hai naa usse bhook lagi hai.par jab bhi doodh khud se pilao pita hi chala jaata hai.thoda ajeeb toh tha ye sab par matru prem ne is sochko gehrane na diya.minu ne kuch der tak bache ko dudh pilaya phir usse palne me rakh usse niharti rahi.bacha bhi shaant mudra me bin palke jhapkayen apni maa ko dekhta raha.idhar kamla vishakt rini babaji ko lekar ghar ki taraf nikal chuki thi.unka ghar paas hi tha.waise bhi ye town chota sa tha.saari jagah aas paas hi thi.kuch dus minute ke andar hi babaji aur kamla ghar ke dwar tak pahunch gaye.babaji ka mukh ek dum shant tha jaise unhone zindagi namak paheli ki guthi suljha li ho.baba ne jaise hi bahar ke gate ke andar paanv rakha waise hi unke dil ki dhadkan badh gayi.ek ajeeb si vyakulta se unka man bhar gaya.unhe laga jaise unki barso ki pratiksha khatm hone waali hai.wo wahin ruk gaye aur aankhen band kar li.baba vishakt ke aane ki khabar aas paas ke gharon me bhi faile chuki thi.sab unke darshan hetu jairaj ke ghar ke paas pahunch gaye the.kuch jo jaan pehchaan ke the wo gate ke andar hi dera daale khade the.babaji ko yun achanak rook aankh band kar dhyan karne jaisa dekh kar sabko ajeeb laga.kamla jo baba ke aage aage chal rahi thi usne achanak piche mudke dekha toh baba ko aankh band kar khade paya.wo bhi unki aur wapas chal di.idhar babaji aankh band kar kisi aur hi duniya me pahunch gaye the.wo khud wahan nahi pahunche the balki kisi agyat shakti ne unhe wahan apne paas bulaya tha.har tarf kohra tha.babaji ko kuch nazar nahi aa raha tha.fir dheere dheere wo dhundh hata aur jo saamne aaye usse dekh babaji ko apni aankhon pe vishwas nahi hua.wo apne ghutno pe gir gaye.kyunki unke saamne swayam PARAM PITA PARMESHWAR the,jo babaji ko dekh muskura rahe the.

Babaji-hey param kripalu, param pujya pita parmeshwar,hey bhagwan aapne mujhe punah darshan diye.(jee haan punah,pehle bhi ye bhagwan se mil chuke hain,kaise?bas abhi pata chal jayega.)hey prabhu,kya mere gunah maaf ho gaye.kya ab mujhe moksh mil jayega!!!

(Doston chaliye kahani thoda peeche le chalte hain...)

baat abse kuch hazaron saal purani hai,kalyug ne duniya me paon pasara nahi tha.us waqt baba vishakt rini tapasya me leen the.sadiya beet chuki thi,najaane kitne hi mausom badle par vishakt baba par iska koi asar nahi hua.samay bitata gaya,tapasya aur kathin hoti gayi par babaji tas se mas nahi hue.phir wo din bhi aaya jiske liye baba itne kathin tap kar rahe the.param pita parmeshwar ko unki ye dhridhta achi lagi aur wo baba ke aage pragat hue.

BHAGWAN-putra vishakht.utho putra.ankhen kholo.mai tumhari tapasya se prasann hua.ankhen kholo aur mango kya chahte ho.

Vishakht baba ne aankhen kholi aur jab bhagwan ko saamne dekha toh khushi se jhoom uthe.apneaap ko bhagwan ke charanon me jhuka pehle saastang pranaam kiya.phir uth kar bole.prabhu,mai dhanya hogaya.kya mai apse kuch bhi maang sakta hun.

BHAGWAN-nisankoch hokar mango putra.par dhyan rahe jo bhi tum mango usme jagat kalyan ho na ho kisika nuksaan nahi hona chahiye.

VISHAKHT-avashya prabhu.par kya mai do vardan maang sakta hun!!!

BHAGWAN-thik hai putra,mango.

VISHAKHT-PRABHU mai is sansaar ka sabse zyada gyani manushya banana chahta hun.aisa kuch na ho jo mujhe naa pata ho.na koi mantra na koi rog aur uska upchaar.aur dusra wardan ye ki mai jab bhi chahun aapse dhyan me jaakar baat kar sakun.

BHAGWAN-TATHASTU...

ye kah bhagwan adrishya ho gaye.

Vishakht baba bhi iske baad wahan se antardhyan ho apne nagar SORAMPUR (KALPANIK)

chale gaye.jaane kitno yugon se baba vishakt apni tap me leen the.wo toh apne tab ke bal par ab bhi jawan hi the.par unke ghar wale apna jeevan chakr pura kar najane kab ka ye sansar chhod chuke the.baba vishakht jab ghar pahunche tab unhe is kadwe sach ka bodh hua.unhe is baat ka bohot dukh hua aur wo wahan se antardhyan ho gaye.aur wo pahunche bharat ke uttari bhag me pahadon ke beech base ek gaon me jiska naam tha SILHARPUR.ye ek bohot hi sundar gaon tha.sabhi sukh suvidhaon se bharpoor.yahan ek taraf jharne the,Dusri taraf lehlahate khet.yahan ki zameen bohot upjau thi jiske chalte kheti bohot acchi hoti thi.aur yahan ka kamai ka mahatvapurn shrot bhi yahi tha.baba vishakht antardhyaan ho sidha yahin pahunche.unke hridaya me jo parivar viyog ke karan dard tha yahan akar kuch kam hua.yahan unke man ko ek alag hi shanti mili.unhone wahin aage ka jeevan bitane ka nirnay liya.iska ek kaaran aur bhi tha.SILHARPUR me jadibuti prachur matra me thi.ause poudhe aur ped the jinse najane kitne rogo ka upchaar ho sakta tha.par iski jaankari kisiko na thi.

Par baba vishakht ki baat kuch aur thi.bhagwan se vardan pakar ab wo sarvgyani ho chuke the.jagah dekhte hi unki divyadrishti se kuch na chup saka.unhone vahin gaon se kuch hi dur ek kutiya bana rahne lage.

jahan wo rehte the wahin ek nadi behti thi.ek din jab baba vishakht wahan snaan kar rahe the toh unhe nadi ke paas pathar ke peeche kuch kapda sa dikha.jab baba paas gaye toh unhone dekha ki wahan ek ladki thi jo murchit ho gayi thi.par phir bhi kaamp rahi thi.baba usse utha apani kutiya me le aaye aur paas hi ke kuch patthon ko tod aushadhi bana uska lep ladki ke mashtishk me laga mantra ucharnan karne lage

"DRINNA UPCHARYA NAMAH"....

kuch hi der me ek roshni ka gola baba ke haath se nikal ladki ke mastishk se hote hue uske andar chala gaya.kuch hi waqt me usse hosh aa gaya.thik toh wo aushadhi se hi ho gayi thi par mantron se uski sharirik shakti turant laut aayi.wo baba ko dhanyawad kar ghar chali gayi.ghar pahunchi toh usse uske pariwarwale baithe mile jo kafi udas dikh rahe the.ladki ko dekh wo khush hogaye.mel milap ke baad ladki ki mata ne usse pucha wo subah se kahan thi.ladki ne bataya ki wo nadi ki taraf yunhi ghumne nikal gayi thi.pani me khelte khelte uska pair fisla aur uska sar ek pathar se takraya.wo murchit ho gayi.fir baba ke baare me bhi bata diya.wo us gaon ke ek dhani ghar ki beti thi.phir kya tha ye baat har jagah fail gayi.uske ghar waale baba ka shukriya karne unke kutiya me gaye.us dhani vyakti ke ghar me ladki ke dada ko kodh ho gaya tha.bohot jagah koshish ki par koi unhe thik naa kar saka.us dhani vyakti ne baba se pucha ki kya wo apne pita ko ek baar dekhenge toh baba ne haan kaha aur usse bhi chand palon me hi thik kar diya.fir kya tha baba ki khyati charon dishaon me gunjane lagi.dur dur se log apne rog mukt karane baba ke paas aane lage yahan tak ki rajgharano se bhi aur har koi thik hokar hi jata.Baba vishakht ki log bhagwan se tulna karne lage.aur yahin se shuru hui baba ki durdasha ki shuruwat.baba vishakht ko khud ke upar guman hone laga.vinamrata adar sab kuch dheere dheere baba vishakht ke vyavahar se vilupt hone laga.ab baba har kisika ilaj nahi karte the .kewal rajgharon se aaye logon ka ya dhani vyaktiyon ka hi wo upchaar karne lage.kutiya ki jagah ek bhavya aashram ne le li.baba ke seva me itne sevak rehne lage jitna kisi raja ke paas bhi na the.

Download MangaToon APP on App Store and Google Play

novel PDF download
NovelToon
Step Into A Different WORLD!
Download MangaToon APP on App Store and Google Play